1.Kai logon ko to ishwar kahin rakh kar bhool jaata hai, par main khud hi apne aap ko kahin rakh kar bhool gayi hoon.. jee karta hai, koi ho jo mera apna-aap khoj kar mujhe de jaaye..
2."Tum mujhe bhale kitni hi baar chhod kar chale jao, par jitni baar jao, us se ek baar zyaada lautna.. agar bichhadna pachaas baar to milna ikyavan baar. Yeh viyog apni baari se aata raha aur saath mein milan bhi. Ant mein milan jeetega.. ek number ke fark se... "
"Tumhara vishwaas nahi toot-ta?"
"Toot-ta hai, par phir bandh jaata hai. Vishwaaas bhale hi pachaas baar toote, par use ikyavan baar bandhna chahiye. Ek baar zyaada, bas ek baar..."
3.Mujhe lagta tha vo abhi ro padegi, par vo royi nahi. Ya phir, shayad aisa rona royi jo kisi ko dikhaayi nahi diya. Dekha! Hum auratein kaisa rona ro sakti hain! kabhi kabhi mera dil karta hai, ki main bhi zor zor se ro sakoon, aur vo bhi zor zor se ro sake.....
4.tere ishq ki ek boond
isme mil gayi thi
isliye maine umr ki
sari kadvahat pi li
isme mil gayi thi
isliye maine umr ki
sari kadvahat pi li
5.Kalm ne aaj geeto ka kafia tod diya
Mera ishq yeh kis mukaam pr aa gya hai
dekh nazar wale,tere samne baithi hu
mere haath se hijr ka kanta nikal de
jisne andhere ke ilawa kabhi kuch nahi buna
veh mohabat aaj kirne bunkr de gayi
utho,apne ghade se pani ka ek katora do
raah k haadse main isi paani se dho lungi.
Mera ishq yeh kis mukaam pr aa gya hai
dekh nazar wale,tere samne baithi hu
mere haath se hijr ka kanta nikal de
jisne andhere ke ilawa kabhi kuch nahi buna
veh mohabat aaj kirne bunkr de gayi
utho,apne ghade se pani ka ek katora do
raah k haadse main isi paani se dho lungi.
6. suchche doodh si meri muhabbat
barson ke chaval phatak ker
main dil ki haandiya me raandhne lagi
par duniya ki gili si lakddi se
vah saari handiya dhuaandh gai..
raat peetal ki katori
chaand ki qalai utar gai
kalpna pighla gai
sapna kasla gaya
aur saari neend kadva gai
ishq ka badan thithurne laga
main geet ka kurta seene lagi
to khyalon ka dhaaga ulajh gaya
qalam ki sui toot gai
aur saari baat kho gai
barson ke chaval phatak ker
main dil ki haandiya me raandhne lagi
par duniya ki gili si lakddi se
vah saari handiya dhuaandh gai..
raat peetal ki katori
chaand ki qalai utar gai
kalpna pighla gai
sapna kasla gaya
aur saari neend kadva gai
ishq ka badan thithurne laga
main geet ka kurta seene lagi
to khyalon ka dhaaga ulajh gaya
qalam ki sui toot gai
aur saari baat kho gai
Amazing !! Thank you for sharing. I had just read - Rasidi Ticket by Amrita. But I guess I need to explore her more... :)
ReplyDeleteit's nice to know that u did like it.
ReplyDeleteyep...rasidi ticket is the tip of an iceberg...u can delve far deeper...:)